Thursday, July 24, 2014

SALAT AL TASBEEH




SALAT AL TASBEEH
Is Namaaz ke prahane se bahut, be inteha sawaab hai !
Aan Hazrat Salallahu Alaihe Wasallam ne apne chacha Hazrat Abbas Raziallahu taala anhu ko ye namaaz seekhayi thi aur farmaya tha ki ye chacha jaan, is ke parhane se aap ke agale peechale, naye purane, chote, bare sab gunaah baksh diye jayenge In Sha Allah
aur farmaya tha ki ho sake to her roz ya namaaz parha karen aur agar rozaana na ho sake to har jume ko ek martaba parh len.
agar har jume ko bhi na parh sakte hai tu her mahine parh lia karen
aur agar mahine me na ho sake tu saal me ek dafa parh len
aur agar yeh bhi na ho sakke tu zindagi me ek martaba zarur parh hi len..
is namaaz me yah tashbeeh parhi jaati hai
سُبْحَان اللهِ وَ الْحَمْدُ لِلّهِ وَ لآ اِلهَ اِلّا اللّهُ وَ اللّهُ اَكْبَرُ
TAREEQA
is ka tarteekayah hai ki 4 rakaat salat al tasbeeh ki niyat kare aur takbeer kah kar haath band le aur phir
sana ke baad 15 baar سُبْحَان اللهِ وَ الْحَمْدُ لِلّهِ وَ لآ اِلهَ اِلّا اللّهُ وَ اللّهُ اَكْبَرُ
surah fateha aur koi surah parhane ke baad . 10 baar سُبْحَان اللهِ وَ الْحَمْدُ لِلّهِ وَ لآ اِلهَ اِلّا اللّهُ وَ اللّهُ اَكْبَرُ
Ruku ki tasbeeh subhan rabbil azeem ke baad 10 baar
Ruku se uth kar 10 baar
pahale saJde me tasbeeh subhan rabbial a'ala ke baad 10 baar
dono sajdon ke ke darmiyan baith kar 10 baar
dusare sajde me tasbeehat ke baad 10 baar ...... {Doosre sajde ke baad seedhe khadhe hojayen tasbeeh na padhen}is tarah 75 baar ek rakaat me
Dusari rakat me khare ho kar surah fateha se pahale 15 baar
kiraat yani fateha aur koi dusari surah ke baad 10 baar
Ruku me 10 baar
ruku se uthne k baad 10 baar
dono sajdon me 10-10 baar
sajdon ke darmiyan me 10 baar
isi tarah 3rd aur 4th rakaat me bhi parhen
her rakaat me 75 martaba honge aur charon rakaat me mila kar 300 baar yeh tasbeehat hojayengi.
agar kisi tarah kisi jagah bhool jayen tu ruku me ya sajde me parh len aur har rakaat me 75 ki ginti poori karen........
INSHA ALLAH .. Sab Bhai & Behen parhengi aaj ki Raat aur ramzaan me bhi isko kasrat se parhen aur ALLAH ki azeem naimaton se malamall hon..
‪#‎Allah‬ taala aapki aur meri maghfirat farmaye aur imaan parkhatima ata farmaye..Ameen

No comments:

Post a Comment