Tuesday, January 6, 2015

SOCIAL MEDIA WA MESSANGERS PAR CHATTING SE BARBAD HOTI ZINDIGIYAN, EK NAZAR IS PAR BHI… PART 1 OF 3

Is jadeed daur mein jadeed cheeze aa rahi hain jiski wajah badalta waqt bhi ho sakta hai aur ghairo wa Islam Dushmano ki sazishe bhi ho sakti hai aur shayed he isse koi inkar kare. Aajkal SOCIAL MEDIA jaise Facebook, Twitter, Whatsapp, Hike, Yahoo messenger, Rediffbol, Hotmail Messenger, Skype waghairah par zyada tar ladke aur aur ladkiyo ke accounts hain jinme sabhi mazahib ke manne wale shamil hain. Ye aise khule tareeqe hain jin par koi bhi kisi se bhi dosti kar sakta hai aur bat kar sakta hai, chahe text msg ho, voice call ho ya video call ho sabhi kuch baasani ho raha hai, filo ka ana jana bhi bahut he asan ho chuka hai. convent se lekar sarkari schools tak aur colleges se lekar universities tak mein padhne aur padhane walo ke accounts maujood hain in social networking sites wa messengers par aur bahut sare fake accounts bhi maujood hain, ek shakhs 4 se 6 ID chala raha hai aur nafsani khwahishat ke liye in tamam cheezo ka misuse kar raha hai.

Jis tarah har daur mein kuch na kuch jadeed cheeze ati rehti hain aur unka insan ghalat istemal bhi kar sakta hai aur acha istemal bhi kar sakta hai, isi social media par musalman naujawan ladke aur ladkiyan apne qeemti auqat ko sarf kar rahe hain jisme ladke aur ladkiya chat kar rahe hain aur apne khayalat ka tabadla karte hain. Jaisa ki maine pahle bhi kaha ki har cheez ko istemal karne ka tareeqa bhi hota hai aur wo tareeqa insan ki fitrat aur uske dilo dimagh par depend karta hai, agar insan achi fitrat aur neik amal wala hai to wo kahin bhi rahe aur kuch bhi istemal kare wo usme neiki kamane ka zariye dhoond he lega aur apna waqt usi mein sarf karega. Aur kuch aise bhi log hote hain jo har cheez ka ghalat istemal karte hain aur neki ki jagah badi ko apne muqaddar kar lete hain.

Iska agla hissa agli post mein kiya jayega INSHAALLAH.

JAZAKALLAHU KHAIRAN KASEERAN KASEERAH…

A Slave of ALLAH SWT.

No comments:

Post a Comment