Friday, July 25, 2014

Zakat-Ul-Fitr



Bismillah Hir-Rahman Nir-Rahim
Zakat-Ul-Fitr
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Zakat-Ul-Fitr Ko Har Muslaman Mard, Aurat, Budhe, Bachche Par Farz Kiya Hai.
(Sahih Al Muslim, Hadees 984)
Koi Bi Cheez Jo Insan Khane Ke Liye Istemal Karta Hai, Jaisa Ke Barley, Khajoor, Gyahu Wagera Zakat-Ul-Fitr De Sakte Hai.
(Ibn Khuzaimah, Hadees 4/80)
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Iski Miqdaar Ek Shaks Se 1 Saa Yani 2kg-400gm Batayi Hai.
(Musnad Ahmad, Hadees 5/432)
Zakat-Ul-Fitr Khane Ki Cheez (Gyahu, Anaaj, Khajoor) Hi Dena Chahiye, Paisa Dena Sunnat Se Sabit Nahi, Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Sirf Khane Ki Cheez Hi Di Thi.
(Majmu Fatawa Bin Baz:14/208)
Zakat-Ul-Fitr Sirf Gharibo, Muhtajo, Misqeeno, Bewaho Ko Dena Chahiye, Taaki Wo Bhi Eid Ki Khushiya Mana Sake, Khaa-Pee Sake, Zakatul Fitr Ko Muhtajo Ke Ilawa Kisi Aur Ko Dena Jayaz Nahi Hai.
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Zakatul Fitr Ko Farz Kiya Taaki Rozedar Se Roze Ki Halat Me Jo Koi Fuzul Baat Sarzad Ho Gayi Ho, Wo Us Se Paak Ho Jaye Aur Misqeeno Ko Khana Mesar Aa Jaye.
(Mishkat Shareef 1/570)
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya:
Zakat-Ul-Fitr Garibo, Misqino, Muhatajo Ka Haq Hai, Eid Se Pehle Un Tak Pahunch Jaye Toh Wo Muhatajgi Se Bach Jayenge.
(Sunan Ibn Majah, Hadees 1872)
Zakat-Ul-Fitr Ko Eidgah Jane Se Pehle (Yani Eid-Ul-Fitr Ki Namaz Ada Karne Se Pehle) De Dena Chahiye, Isko Ada Karne Me Taqeer Nahi Karna Chahiye, Jaise Ke Eid Ki Namaz Ke Baad Dena Ya Eid Ke 5, 10 Din Pehle Dena Bhi Jayaz Nahi Hai.
Eid Ke 1 Ya 2 Din Pehle Zakat-Ul-Fitr Dena Jayaz Hai.
(Sunan Ibn Majah, Hadees 1827)
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya:
Jisne Eid Ki Namaz Ke Baad Zakat-Ul-Fitr Diya, Uska Farz Ada Nahi Hua, Usko Nafil Sawab Milega, Ye Uski Taraf Se Sirf Sadqa Hoga.
(Sunan Abu Dawood, Hades 1622)
Zakat-Ul-Fitr Ada Karne Ka Faida:
1. Ye Ek Tarah Ka Kaffara Hai Jo Rozo Ki Halat Me Hum Se Hua, Jaise Ke Galatiyan, Khotahiyan, Fuzul Baatein
2. Ye Behtareen Zariya Hai Garibo Ki Muhatajgi Door Karne Ke Liye
3. Eid Ke Barkat Wale Din, Gharib Bheeq Maang Ne Se Bach Jayenge
Hada Allah Hu Alam...
Allah Subhanahu Wa Ta'alase Du'a Hai Ke Hum Ko Ghar Walon Ko Aap Logon Ko Or Sare Musalmano Ko Quran O Sunnat Ko Sahaba Ke Manhaj Par Amal Karne Wala Fir Daw'at Dene Wala Banaye, Ameen Ya Rabbil Aalameen

No comments:

Post a Comment