Saturday, December 20, 2014

Quran 17:1




بسم اللہ الرحمٰن الرحیم
(In Hindi / Urdu & English)
Al-Quran: wo (ALLAH ) paak hai jo ek raat apne bande ko masjid Al-haram (yani khana-e-kaba) se maszid-e-aqsa( yani baitul muqaddas) tak le gaya, jiske gird gird (charo taraf) humne barkatein rakhi hain taki hum unhe apni kudrat ki nishaniyan dikhayein beshak wo sunne wala (aur) dekhne wala hai
Al Quran, Surah al isra (17) , Aayah 1
Hadith : Abdullah bin masood Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ko mairaj hua to aap sidaratul muntaha tak pahunche aur wo chate (sixth) aasman mein hai zameen se jo chadta hai wo yahi aakar thahar jata hai phir le liya jata hai aur jo upar se utarta hai wo bhi yahi thahar jata hai phir le liya jata hai Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ko wahan 3 cheezein di gayee ek paanch (5) namazein, dusra surah baqra ki aakhri aaytein, teesra alllah subhanahu ne baksh diya Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki ummat mein se har us shaksh ko jo ALLAH subhanahu ke saath shirk nahi kare
Sahih Muslim , Vol 1, 431
English translation:
Al Quran: glory to (ALLAH) who did take his servant for a journey by night from the sacred mosque to the farthest mosque, whose precincts we did bless,- in order that we might show him some of our signs: for he is the one who heareth and seeth (all things).
Al Quran surah Al isra (17) , Aayah 1
Hadith: it is narrated on the authority of abdullah bin masood that when the messenger of Allah (may peace be upon him) was taken for the night journey, he was taken to sidrat-ul-muntaha, which is situated on the sixth heaven, where terminates everything that ascends from the earth and is held there, and where terminates every- thing that descends from above it and is held there the messenger of allah (may peace be upon him) was given three (things): he was given five prayers, be was given the concluding verses of sura al-baqara, and remission of serious sins for those among his ummah who associate not anything with ALLAH
Sahih muslim, Book 1, 329

No comments:

Post a Comment