Saturday, April 4, 2015

Husn-e-Ekhlaaq series. 1) Narmi (الرفق)




Husn-e-Ekhlaaq series.
1) Narmi (الرفق)
Allah tala ka irshaad hai: "Aur ehl-e-imaan me se jo tumhari pairvi ekhtyaar krain, in k liye apnay baazu jhuka do" 
(As-shu'ra: 215)
Ahadees-e-Nabvi sallallaa’ho Alayhe wasallam.
1) Abu darda se rawayat hai k Nabi S ne farmaya, "Jisay narmi me se hissa mila usay khair me se hissa mila aur jo narmi se mehroom reh gaya wo khair se mehroom reh gaya."
(Tirmizi)
2) Hazrat Ayesha RA se rawayat hai k nabi S ne farmaya, "Jab Allah tala kisi khaandan k sath bhalaai ka irada kartay hain tou un mein narmi daal dete hain."
(Tirmizi)
3) Hazrat Ayesha Radi’Allahu anhum rawayat karti hain k Nabi S farmate thay, "Ay Ayesha! Beshak Allah tala narmi karne wala hai, narmi ko pasand farmata hai aur narmi par jo kuch ataa karta hai wo sakhti par nahi ata karta aur na hi iske ilawa kisi aur cheez par ataa karta hai."
(Muslim)
4) Sayyeda Ayesha RA se rawayat hai k Nabi S ne farmaya, "Be-shak narmi jis cheez mai bhi hoti hai isay zeenat daar bana deti hai aur jis se ye nikaal li jati hai usy aib-daar kar deti hai."
(Tirmizi)
5) Abdullah bin Mas'ood rawayat karte hain k Nabi S ne farmaya, "Kiya main tumhen is shakhs ki khabar na dun jo aag par haraam hai aur aag is par haraam hai? Ye wo shakhs hai jo naram mizaaj ho, naram tabiyat ka ho aur narmi se baat karne wala ho."
(Tirmizi)

No comments:

Post a Comment