Thursday, December 18, 2014

Quran 2:212





بسم اللہ الرحمٰن الرحیم
(In Hindi / Urdu & English)
Al Quran : Kafiron ko Duniya ki Zindagi bhali lagti hai aur wo un logon ka mazaq udate hain jo Imaan laye halanki jo log parhaizgaar hain wo Qayamat ke din unse baalatar honge aur Allah jisko chahe be hisab rizq deta hai 
Al Quran, Al-Baqara, (2) , Verse #212
Al Quran : Jo Gunaahgar ( kaafir) hain wo ( Duniya mein) Momeeno se hansee kiya kartey they, Aur jab unkey pass se Guzartey to haqarat se ishaarey kartey Aur jab apney ghar ko jaatey to itratey huye jaatey , aur jab in ( momeeno) ko dekhtey to kahtey ki ye to gumrah hain, Halanki wo un par nigraah (watchers )bana kar nahi bhejey gaye hain, To Aaj momeen kaafiron se hansee karengey (aur) takhton par ( baithey huye) unka haal dekh rahey honge , to kaafiron ko unke kaamo ka badla mil gaya.
Al Quran , Surah 83, Verse 29-36
Al Quran : Beshak jo log kafir huye aur kufr ki halat mein mar gaye to kisi se bhi zameen bhar kar sona bhi qubul nahi kiya jayega , chahey wo itna sara (azab se bachne ke) badle mein de, in logo ke liye dardnak azab hai aur inka koi madadgar nahi hoga
Al Quran, Surah Aal-e-Imran (3) #91
English Translation:
Al Quran : Beautified is the life of this world for those who disbelieve, and they mock at those who believe. But those who obey Orders of Allah and keep away from what He has forbidden, will be above them on the Day of Resurrection. And Allah gives abundance (Blessings) to whom He wills without limit.
Al Quran, Al-Baqara (2), Verse #212
Verily, (during the worldly life) those who committed crimes ( kaafir) used to laugh at those who believed.And, whenever they passed by them, used to wink one to another (in mockery). And when they returned to their own people, they would return jesting;And when they saw them, they said: "Verily these have indeed gone astray!" But they (disbelievers, sinners) had not been sent as watchers over them (the believers).But this Day (the Day of Resurrection) those who believe will laugh at the disbelievers, On (high) thrones, looking (at all things).Are not the disbelievers paid (fully) for what they used to do?
Al Quran , Surah 83, Verse 29-36
Al Quran : Verily, those who disbelieved, and died while they were disbelievers, the (whole) earth full of gold will not be accepted from anyone of them even if they offered it as a ransom . For them is a painful torment and they will have no helpers.
Al Quran, Surah Aal-e-Imran (3) #91

No comments:

Post a Comment